Gulzar Shayari – Gulzar ki Shayari
Profile of ‘GULZAR”
Pen Name :’Gulzar’
Real Name :Sampooran Singh Kalra
Born :01 Aug 1936 | Dina Jhelum , Punjab
Awards :Sahitya Akademi Award(2002)
Poet, novelist, songwriter, film scriptwriter, playwright, producer, dialogue writer, director, intellectual, and famous for his uniqueness and innovation in every field. Gulzar has donned more hats than one. Whether in poetry or prose. his distinct expression has helped bring about ever new aspects and emotions in the journey of life. He has been presented with a long. unending series of awards and accolades for him unparalleled contribution to the field of literature and Indian film industry. To list a few. he has been conferred the Oscar. the Dada Sahib Phalke Award. Grammy Award. Filmfare Award (21 times). Indira Gandhi Award for National Solidarity. Sahitya Academy Award for Literature and Padma Bhushan. India’s third highest civilian award.
Gulzar Shayari in Hindi
Aap Ke Baad Har Ghadi Hum Ne. Aap Ke Sath Hi Guzari Hai.
Aaina Dekh Kar Tasalli Hui. Hum Ko Is Ghar Mein Jaanta Hai Koi.
Sham Se Aankh Mein Nami Si Hai. Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai.
Kabhi To Chaunk Ke Dekhe Koi Hamari Taraf. Kisi Ki Aankh Mein Hum Ko Bhi Intizar Dikhe.
Gulzar ki Shayari,
Read also: Miss u Shayari | Yaad Shayari | Missing Shayari | Miss You Shayari | Shayari On Yaad In Hindi
Zindagi Yun Hui Basar Tanha. Qafila Sath Aur Safar Tanha.
Waqt Rahta Nahin Kahin Tik Kar. Aadat Is Ki Bhi Aadmi Si Hai.
Aadatan Tum Ne Kar Diye Wade. Aadatan Hum Ne E’tibar Kiya.
Read also: Breakup Shayari | Breakup Diary | Breakup Diary In Hindi | Breakup Shayari In Hindi | My Breakup Diary
Gulzar Shayari on Life
Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun. Un Se Kitna Kuchh Kahne Ki Koshish Ki.
Jis Ki Aankhon Mein Kati Thin Sadiyan. Us Ne Sadiyon Ki Judai Di Hai.
Koi Khamosh Zakhm Lagti Hai. Zindagi Ek Nazm Lagti Hai.
Hum Ne Aksar Tumhaari Rahon Mein. Ruk Kar Apna Hi Intizar Kiya.
Hath Chhuten Bhi To Rishte Nahin Chhoda Karte. waqt ki shaKH se lamhe nahin toDa karte.
Read also: Zindagi Shayari : Life Shayari | Zindagi Shayari In Hindi | Life Shayari In Hindi | Shayari On Life
Gulzar shayari on love
Kal Ka Har Waqia Tumhaara Tha. Aaj Ki Dastan Hamari Hai.
Apne Sae Se Chaunk Jate Hain. Umr Guzri Hai Is Qadar Tanha.
Main Chup Karaata Hun Har Shab Umadti Barish Ko. Magar Ye Roz Gai Baat Chhed Deti Hai.
Tumhaare Khwab Se Har Shab Lipat Ke Sote Hain. Sazaen Bhej Do Hum Ne Khataen Bheji Hain.
Khushbu Jaise Log Mile Afsane Mein. Ek Purana Khat Khola Anjaane Mein.
Read also: Sorry Shayari | Maafi Shayari | Mafi Shayari images | Sorry Shayari In Hindi
Shayari Gulzar
Jab Bhi Ye Dil Udas Hota Hai. Jaane Kaun Aas-Pas Hota Hai.
Dil Par Dastak Dene Kaun Aa Nikla Hai. Kis Ki Aahat Sunta Hun Virane Mein.
Ek Hi Khwab Ne Sari Raat Jagaya Hai. Main Ne Har Karwat Sone Ki Koshish Ki.
Zindagi Par Bhi Koi Zor Nahin. Dil Ne Har Chiz Parai Di Hai.
Sahma Sahma Dara Sa Rahta Hai. Jaane Kyun Ji Bhara Sa Rahta Hai.
gulzar shayari hindi,
Usi Ka Iman Badal Gaya Hai. Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha.
Aap Ne Auron Se Kaha Sab Kuchh. Hum Se Bhi Kuchh Kabhi Kahin Kahte.
Der Se Gunjte Hain Sannate. Jaise Hum Ko Pukarta Hai Koi.
Din Kuchh Aise Guzarta Hai Koi. Jaise Ehsan Utarta Hai Koi.
gulzar love shayari,
Zakhm Kahte Hain Dil Ka Gahna Hai. Dard Dil Ka Libas Hota Hai.
Phir Wahin Laut Ke Jaana Hoga. Yar Ne Kaisi Rihai Di Hai.
Rakh Ko Bhi Kured Kar Dekho. Abhi Jalta Ho Koi Pal Shayad.
Wo Umr Kam Kar Raha Tha Meri. Main Sal Apne Badha Raha Tha.
Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko. Meri Kahani Suna Raha Tha.
Read also: सैड शायरी – Sad Love Shayari | Best Collection Of Hindi Shayari
Gulzar Shayari on life in Hindi
Ruke Ruke Se Qadam Ruk Ke Bar Bar Chale. Qarar De Ke Tere Dar Se Be-Qarar Chale.
Aankhon Ke Pochhne Se Laga Aag Ka Pata. yuuñ chYun Chehra Pher Lene Se Chhupta Nahin Dhuan.
Yaadon Ki Bauchhaaron Se Jab Palken Bhigne Lagti Hain. Sondhi Sondhi Lagti Hai Tab Mazi Ki Ruswai Bhi.
Apne Mazi Ki Justuju Mein Bahaar. Pile Patte Talash Karti Hai.
gulzar sahab shayari,
Khamoshi Ka Hasil Bhi Ek Lambi Si Khamoshi Thi. Un Ki Baat Suni Bhi Hum Ne Apni Baat Sunai Bhi.
Ye Shukr Hai Ki Mere Paas Tera Gham To Raha. Vagarna Zindagi Bhar Ko Rula Diya Hota.
Chand Ummiden Nichodi Thin To Aahen Tapkin. Dil Ko Pighlaen To Ho Sakta Hai Sansen Niklen.
Go Barasti Nahin Sada Aankhen. Abr To Barah-Mas Hota Hai.
Ek Sannata Dabe-Panw Gaya Ho Jaise. Dil Se Ek Khauf Sa Guzra Hai Bichhad Jaane Ka.
Bhare Hain Raat Ke Reze Kuchh Aise Aankhon Mein. Ujala Ho To Hum Aankhen Jhapakte Rahte Hain.
Aankhon Se Aansuon Ke Marasim Purane Hain. Mehman Ye Ghar Mein Aaen To Chubhta Nahin Dhuan.
shayari by gulzar
Ye Dil Bhi Dost Zamin Ki Tarah. Ho Jata Hai Danwa-Dol Kabhi.
Ye Rotiyan Hain Ye Sikke Hain Aur Daere Hain. Ye Ek Duje Ko Din Bhar Pakadte Rahte Hain.
Raat Guzarte Shayad Thoda Waqt Lage. Dhup Undelo Thodi Si Paimane Mein.
Read also: Friendship Shayari | Friendship Day Shayari | Beautiful Dosti Shayari in English | Dosti Shayari
Zindagi Gulzar hai Shayari
Chulhe Nahin Jalae Ki Basti Hi Jal Gai. Kuchh Roz Ho Gae Hain Ab Uthta Nahin Dhuan.
Yun Bhi Ek Bar To Hota Ki Samundar Bahta. Koi Ehsas To Dariya Ki Ana Ka Hota.
Kanch Ke Paar Tere Hath Nazar Aate Hain. Kash Khushbu Ki Tarah Rang Hina Ka Hota.
Aag Mein Kya Kya Jala Hai Shab Bhar. Kitni Khush-Rang Dikhai Di Hai.
Read also: शायरी दर्द – Dard Bhari Shayari : Gum Bhari Shayari – Dukh Bhari Shayari – Painful Shayari – Gum Shayari
Gulzar 2 line Shayari
Like this: Like Loading...
3 thoughts on “Gulzar Shayari | Gulzar-ki-Shayari | Zindagi-Gulzar hai”
Comments are closed.